khushnuma hawaloN maiN

khusnuma hawaloN maiN
khoob roo khayaloN maiN
mustaqil kitaboN maiN
un kahay sawaloN maiN
ghan gharaj mizajoN maiN
gum sum nigahoN maiN
teirgi ki chaloN maiN
roshni kay jaaloN maiN
lab sili du'oN maiN
raat ki namazoN main
ek gumaN kay baad jesay
ek yaqeeN dar aya hay
rah e tamanna main
tum ko jub say paya hay.




Comments

Popular posts from this blog

ڈر لگتا ہے

Mustansar Hussain Tarar . (A gesture of gratitude on 75th birthday)