Remembering Parveen Shakir
Dua ka toota hua harf sard aah mein hai
Teri judayi ka manzar abhi nigah mein hai
Tere badalne ke bawasf tujhko chaha hai
Yeh aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai
Azaab dega toh phir mujhko khwab bhi dega
Mein mutmaeen hoon mera dil teri panah mein hai
Jise bahar ke mehman khali chodh gaye
Wo ek makan abhi tak makiin ki chah mein hai
Yahi woh din the jab ek dosre ko paya tha
Hamari salgirah theek ab ke maah mein hai
Mein bach bhi jaoon toh tanhayi maar daalegi
Mera qabila ka har fard, Qatl gaah mein hai
Remembering Parveen shakir on her birthday.
Comments
Post a Comment